Thursday 4 February 2016

Safar-E-Shikayaat



Merey Qalam Mein Itni Taqat Naheen Naa Mein KOi Achaa Kaalam-Nigaar HOon Q K Mere SOch Kii Haad Makhsooos Hai Mein Aik Makhsooos Daireey Mein E SOch Sakta HOon Or As SOch Kii Makhsoosiyat Kii Wajhaa Se Mein Neey Aaaj tak Aapni Kaisey B Likhi Gaye Kahani Mein Kaisey B Laila Koo Kaisey B Majnu See Naheen Milwaya Ab Sawal Yeh Uthita Hai Mein Nee Unko Kbhe Kyn Naheen Milwaya Aapni Likhi Gayee Kahanioo Mein ? 
Aski Wajha Kaheen Yeh TOh Naheen K WOh Ishq Karny Wali Aurat Kaa Qabilaa Aapny Ashique K Qabileey See Alag Thaa 
Yaa Unki Maadri-Zuban Mein Neeem Farak Thaa Yaa Phr Unki Rangaat Unki Jismani Banawaat Mein Farak Thaa ?
Naheen Aisey KOi Wajhaa Naheen Hai Mein Aapni Likhi Gaye Kahanioo Mein Ashiqon Koo Sirf Aslye Milny Naheen Deta Kyn K Manzil Ashiq K Leye Hoti E Naheen Un K Naseeb Mein Aik Lamba Safar HOta Hai Joo Mehboob K Sath Teeh Karta Hai
Per Yeh Puri Haqeqat Naheen Kyn K Jaisey Mein Nee Aik Kaalam-Nigaar K Qirdaar Jiska Naam Salar Thaa Usko Milteey Dikha Or Pardhaa Thaa 
Salar B TOh Ashiq Thaa Phr Usko Manzil Kaisey Milii ?
Chaleen Yehe Bata Deta HOon Kaisey Milii 
Salar Jab Allah K Ghar Kabatulallah Shareef Gaya Thaa TOh Wahaan Ruuk Gaya.
Or Hath Joor K Bolneey Laga 
" Yahan Khareey HOo K Tujhse Unbia (Pegambar) Dua Mhnga Karty Thye Unki Dua Or Mere Dua Mein Farak Hai Mein NABI HOta TOh Nabiyon Jaisey Dua Karta Magar Mein TOh Aaam Bashaar HOon Or Gunhagar Bashaar Mere Khuwaishaat Mere Arzoo Sub Aaam Hain 
Yahaan Haraam Pak Mein Khareey HOo K Kabhe KOi Kaisey Aurat K Leye Naheen Royaa Hoga 
Mere Zilaat Or Pasti As Se Zayda Kyaa HOgae K Mein Haraam Pak Mein Aik Aurat K Leye Girgiraa Raha HOon Magar Mujhy Naa Mere Dil Py Ikhtiyaar Hai Naa Aapny Ansuuon Py 
Yeh Mein Naheen Thaa Jis Ney Os Aurat Ko Dil Mein Jagah Dii 
Yeh tOnh Nee Keya Q Mere Dil Mein Aik Aurat K Leye Itni Mohbat Daal Di K Mein Tere Samne Khara B Usko Yaad Kar Raha Hoon Q Mujhy Itna Bebaas Kardeya K Mujhy Aapny Wajood py B Koi Ikhtiyaar Nhn Raha Mein Woh Bashaar hOon Jisko Tonh Neey In Tamam Kamzoriyoon K Sath Banaya Hai
Mein WOh Bashaar HOon Jaisey Tere Siwa KOi Rahsta Dikhaneey Wala Naheen Or WOh Aurat Mere Zindage K Har Rahsty Py Kharee Hai Mujhy Kaheen Jaany Kaheen Pochineey Naheen Dety
Yaa to Usko Mere Dil Se Aisey Nikal Deey K Mujhy Uska Khayal Tak Naheen Aaey Ya Phr Osey Mujhy Dee Dey WOh Naheen Milegae TOh Sareey Zindage Us K Leye Rota RahOnga Or Miljaegae TOh Tere Siwa Kaisey K Leye Aansuoo Naheen Bahoonga  
Mere Ansu-oon Koo Khalis Honeey Dee Mere Mohbat Koo Khalis Honeey Dee."
Yehe Dua Us Neey Kii Aapni Naam Ankhoon K Sath Wahaan Se Chala Gaya Phr Aik Lambey Saafar K Baad Usko WOh Miljaty Hai Jiski Us Neey Dua Kii Thi.
To be Continue 
Writer Kashif-Soomro

0 comments: